Tuesday, June 5, 2007

Aisa Kabhi na Karna

Tum rooth jao mujhse
aisa kabhi na kerna

main ik nazar ko tarsoon
aisa kabhi na kerna

main pooch pooch haroon
so so sawal kar k
tum kuch jawab na do
aisa kabhi na kerna

mujhse hi mil k hansna
mujhse hi mil k rona
mujhse bicher k jee lo
aisa kabhi nakerna

tum chand ban k rehna
main daikhta rahoon ga
kisi roz tum na niklo
aisa kabhi na kerna

tum chalay jao jab bhi
tu dekhoon tumhara rasta
tum loat k na aao
asia kabhi na karna....

No comments: